ankhon ki neind lei leiti hei yei mohabat....
janei bhir keise khowaab deikhati hei yei mohabat....
zeindaki bana dei ti hei yei mohabat....
bhir bhi jaan lei jati hei yei mohabat....
sab ke beech bhi tujhei bilkol tanha kar
dei ti hei yei mohabat....
anjanei mei hi sahi par tujhei barbaad kar deiti hei yei mohabat...
barbaad kar ke bhi tujhei abaad kar dei ti hei yei mohabat...
apne dill ke saath rehkar bhi tujhei apne dill sei anjaan bana
dei ti hei yei mohabat....
kisi ki muskaan ke leye tujhei fana kar deiti hei yei mohabat...
janei keisi cheez hei yei mohabat....!!!!
***************
Wednesday, June 24, 2009
Meri mohabbat ho tum
Bhiige Gulaab jaisi, khoobsurat ho tum..
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!!
khawaabo mai ake methe, sapne dikhake,
Mujhe aane walei sunehre, lamhe dikhake,
kya Koi pari nai ki jaisi, Shararat ho tum..?

Yaadoon mai likhe gaye, ashaaro jaise,
Pyaar mai sajaayae huye, ghazlo jaise,
Kya Likhe jo sunehrai, khayalat ho tum..?

Teri baato mai wo, chashini haye rabba,
Dil mera unmein bas, doob jaaye rabaa,
kYa meri Liyeh bas, ek Masarrat ho tum..?

Chehre se joo, zahir hai wo chupau kaise,
tujhse kitni mohabbat hai, ye batau kaise,
kYa meri diL ki hi sirf, Riyasat ho tum..?

Bhaata nahi koi chehra, bass tere siwa,
koi nahi deewana, Tera ek mere siwa,
Kya fursat se tarashi gayi, Murat ho tum

Jahaa bhi jaau, jidhar bhi jaau Main,
Mehfilo mai khudko, tanha paau Main,
Kya Meri zindagi ki abb, Zarurat ho tum..?

Jo bhatak jau, kahin anjaan raho mai,
Le jao manzil pai, bhar ke baho mai,
Kya Meri har justujo-e- taqat ho tum..?
Jo bhi ho Jaana, Meri mohabbat ho tum…!1
Zehnaseeb hu main, jo paya tujhko,
Har soo har lamha, sirf chaha tujhko,
Kya khuda ki mujhpe ki, rehmat ho tum..?

Aur kya kahu tumse jan-e-tamanna,
Tum hi ho sirf, meri dil-e-tamanna,
Kya Zindagi se lagayi, hui shart ho tum..?

Jo kari Mujahid nai wo ibadat ho tum..
Haa meri jana, Meri mohabbat ho tum….!!!

Mohabbat
bachao lakh dil ko ,mohabbat ho hi jati hai.
najar akhir najar hai yah shararat ho hi jati hai.
safar is zindagi ka taya akele ho nahi sakta.
koi,apana bhi sathi ho yah chahat ho hi jati hai.
nahi kuch hosh apna dundhate hain har taraf unko.
diwane hain,diwano ki yah halat ho hi jati hai.
kare ab unse kya sikwa bhala anpni tabahi ka.
dilo ko tod dena zinki adat ho hi jati hai.
agar wo sath hon,apne to gulasan ho ya virana.
jagah koi bhi ho misle jannat ho hi jati hai.
chupaya ja nahi sakta mohbbat ke fasane ko.
jamane bhar ko jahir yah hakikat ho hi jati hai.
yah adat hi nahi yu to kisi se kuch kahe "janam".
magar jab tootata hai dil,shikayat ho hi jati hai...

Subscribe to:
Posts (Atom)